Wednesday, February 14, 2007

poem

ehsaas.................
Jab se aaye ho zindagi me
Jeevan ka har rang accha lagta hai
Jaane ye kaisa ehsaas hai ki
Har sapna saccha lagta hai

Indradhanush se rang chura
Sapne bunne ka mann karta hai
Neele aakash me pankh pasaar
Ab udne ka mann karta hai
Hare kheto me pili sarso ke sang
Lehraane ka mann karta hai
Jab se aaye ho zindagi me
Jeevan ka har rang accha lagta hai

Pehli baarish me
mitti ki khusbu ki tarah Tere pyaar me
mehak jaane ka mann karta hai
Tere saanso ki garmi me
pighal jaane ka mann karta hai
Jaane ye kaisa ehsaas hai
ki har sapna ab sachha lagta hai
Jab se aaye ho zindagi me
Jeevan ka har rang accha lagta hai
Mann….